Friday, July 4, 2008

Vo sochte honge usko aksar,
jo hamein unke salaam de jaati hai,
vo kya jaane unhein choone waali hawa bhi,
hamein unke saare paigaam de jaai hai!

Vo likhte hain humara naam mitti mein
aur mita dete hain,
Unke liye ye khel hogamagar hume to vo mitti mein mila dete hain...

waqt ne sari kahani hi badal dali,
pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai,
zakham kuch aise bhi apno ne diye hai mujhko,
ab koi haath milata hai to dar lagta hai,

Woh nadiyaan nahi thi aansu the mere,
Jis par mere Dost kashti chalate rahe...
Manzil mile unhe yeh chahat thi meri,
Isliye hum aansu pe aansu bahate rahe...

Wada karte hain dosti nibhayenge......
Koshish yahi rahegi tujhe na satyaenge.....
Zarurat pade to dil se pukarana........
Mar bhi rahe honge to Khudase mohlat lekar aayenge

Woh ek dost jo rishtey mein kareeb sa lagta hai,
Bahut pass hai dil ke phir bhi juda sa lagta hai,
Bahut dino se aaya nahi koi khat ya telephone uska,
Shayad kisi baat pe khafa sa lagta hai

Wo chand jaise aasman me chamakte rahe.
Hum raat bhar unki chamak me khoye rahe.J
aante hai kabhi na paa sakenge unhe.
Phir bhi har dua me unhi ko mangte rahe..

Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.

Waade bhi dost ne kya khub nibhaye,
Zakham muft mein aur dard tohfe me bhijwaye,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle hi dost kafan le aaye

Wada to nahi karte dosti nibhaynge,
Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge,
Zarurat pade to dilse pukarna,
Marte bhi honge to mohlat lekar aayenge

Woh kahate hai hum se ke aapka message churaya huwa hota hai,
Woh kahate hai hum se ke aapka message churaya huwa hota hai,
Yu to net par SMS ka khazana hota hai,
Kuchch to kadar kar aye jalim,
Aakhir selection to hamara hota hai

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
muskura rahe the hum,
par ankho me nami si thi,
saath hamare ye jahan tha sara,
par na jaane kyu tumhari kami si thi

Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge

Wo laut aayega teri zindagi mein,
jiska intzaar tujhe aaj bhi hai,
maana waqt ne ki hai bewafai tujhse lekin meri duaonme asar aaj bhi hai

No comments: