Saturday, May 31, 2008

Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi
.Bharosa rakhna meri wafaon pe,
Dil me basa ke hum kisi ko Bhulate nahi..

Devdas ke babuji ne kaha ghar chhod do,
uski ma ne kaha paro ko chhod do,
paro ne kaha daru chhod do,l
ekin aapko kisne kaha - SMS karna chod do.

Dost dost se khafa nahi hota,
Pyaar pyaar se juda nahi hota.
Bhula dena meri kamiyon ko,
Kyunki insaan kabhi Khuda nahi hota...

Dost hai to Aanuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfhil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur barat ek saman hoti hai.

Dosti gazal hai gane ke liye,
dosti nagma hai sunane ke liye,
ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
kyonki aap jaisa chahiye nibhane ke liye

Dil ke dard ko dil todne waala kya jaane
pyaar ke rivajo ko ye jmaana kya jaane
hoti hai kitni takleef kabar mein
upper se phool chadane waala kya jaane.

Dil todna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi.

Ek din jab hum dunia se chale jaenge,
Mat sochna apko bhul jaenge,
Bas ek bar asman ki taraf dekhna,
Merepaigam sitaro par aapke liye likhe nazar aaenge.

Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.

Fiza me baharon ke sawarne se pehle ...
Aasman me sitaron ke bikharne se pehle....
Humne Khuda se maangi thi dosti aapki.......
Is zamin par utarne se pehle....

Fasle mita kar aapas me pyar rakhna,
dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
bichad jaye kabhi aap se hum,
aankhon me hamesha hamara intejar rakhna.

Fiza par asar hawaon ka hota hai,
mohabbat par asar adaon ka hota hai,
koi aisa hi kisi ka diwana nahi hota,
kuch kasoor to nigahon ka hota hai.

Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah......

Geet ki zaroorat mehfil mein hoti hai
Pyar ki zaroorat dil mein hoti hai
Bin dosti ke adhuri hai yeh zindagi
Kyunki dost ki zaroorat har pal mehsus hoti hai.

Gila rahe humse shikwa rahe humse,
Arzu ya bas yuhi ek silsila rahe humse.
Fasle ho darmiya,
ya khata ho koi,
Dua hai bas yahi nazdikiya rahe humse.

Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho.