Saturday, June 7, 2008

Kismat par etabar kisko hain
Mil jaye khusi inkar kisko hain
Kuch majbooriya hain mere dost
Warana judai se pyar kisko hain"

Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga....

Kya zamaana tha,hum roz mila karte the;
Raat bhar chaand ke humraaz fira karte the..
Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain,
Kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the....

Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai.

Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai...
Maut aegi to kehna ruk,abhi apne Dost se
Mulaakaat baaki hai....

Kyu dil ke mere tukde kar diye,
kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye,
gunah kya tha mera bus chahna tumhe,
kyu meri zindagi me tune dard bhardiye

Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyo se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyo se bhi aksar pyaar ho jata hai

Khuda se thoda rahem kharid lete,
aap ke zakhmo ka marhar kharid lete,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bechkar aapka har gam kharid lete

Kaise kehde ki unse milne ki chahat nahi,
bekarar dil ko ab bhi rahat nahi,
bhula dete unhe bhi magar kya kare dost,
kisi ko bhulane ki is dil ko aadat nahi

Kyun kisi ki khamoshi mujhe khamosh kar jaati hai,
kyun uski udaasi muje udaas kar jaati hai,
kya rishta hai uska mera jo mujhe uski yaad har pal aa jaati hai


Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye ki hum jise
yaad kare use khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri ki aap jise chahe woh aap ka
humsafar ho jaye

Kafi hai husn dil ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye

Kaun hai jo manzil se door nahin,
kaun hai jo zindagi se majboor nahin,
gunaah to sabhi karte hain,
humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahin

Kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga,
guzar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga

Kafi hai husn ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye

Kaanch chube to nishan reh jaata hai,
dil tute to armaan reh jaata hai,
laga to deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umra bhar ek zakhm reh jata hai

Kaun sa gam hai jo yeh haal bana rakha hai
na to makeup hai, na baalon ko sajaa rakha hai
aur khama-kha chedti rehti hai yeh rukhsaaron ko
Tum ne zulfon ko bohut sar pe chada rakha hai

Kon kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi
yeh afwaah zroor kissi dushman ne udaayi hogi
shaan se rahenge tumahre dil mein hum
itne dino mein kuch to jagah bnayi hogi

Kabhi honsla bhi aazmaana chahiye
bure waqt mein muskurana chahiye
jab 10 dino mein khujki na mite
to 11 ve din nhaana chahiye

Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,
yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
don! o mein farakh sirf itna hai,
lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai.

No comments: