Tuesday, June 3, 2008

Ishq k charche bahut hain,
husn ke parche bahut hain,
hum ne bhi dekh liya ishq karke,
par kambakht ishq mein kharche bahut hain !!! ('_')

Insaano ke kandhon par insaan ja rahe the,
kafano mein lipte kuch armaan ja rahe the.
Jinhe mili bewafaai mohabbat mein,
wafa ki talaash mein wo shamshaan ja rahe the...

Ishq sabhi ko jeena sikha deta hai,
wafa ke naam par marna sikha deta hai..
Ishq nahi kiya to karke dekho,
zaalim har dard sehna sikha deta hai..

Idd ka chand mushkil se dikhta hai.
Lailla ko majnu mushkil se milta hai.
Hum to sms bhejte rehte hai
paraajkal aapka sms mushkill se milta hai.

Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti.

Jindagi ki rahon pe jab aage aage jaoge,
Pichhe ek saaya Tum hardum paoge.
Mudke dekhoge to Tanhai hogi,
Agar Mahsoos karoge to Humko Paoge.

Jab Kabhi apko koi gam sataye,
koi baat dil ko na bhaye,aankhen sagar chalkaye,
yaad karke dekhna hame,kya pata ek aansu kam ho jaye.

jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
hum ko bhi koi shaks yaad ayega ,
tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko ,
jab AAp ke saath guzra waqt yaad ayega

Jindagi behaal hai, Sur hai naa taal hai,
Msgbox bhi kangal hai,
kya aapki sms factory me hadtal hai,
yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai.

Jub khamosh aankho se bat hoti hai aise hi mohabbat ki suruwat hoti hai
tumhare hi khayalo mein khoye rehte hain pata nahi kab din kab raat hoti hai"

Judai aapki rulati rahegi,
yaad aapki aati rahegi..
pal pal jaan jati rahegi,
per jab tak jism me jaan hai..har saans pyar k wade nibhate rahenge...

Jane kis baat ki mujhko saja deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai
.Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne dost ko bhula deta hai.

Jo keh na sake wo fasaana yaad aata hai...,
Guzra hua dilkash zamaana yaad aata hai...; J
ab husn se ishq takraaya tha kabhi...,
Ghaayal hua tha ek parwaana yaad aata hai..!!!

Jaane lage jab wo chhod kar daaman mera,
toot dil ne himaakat kar di..
socha tha ki chhupa lenge gham apna,
par kambakht aankhon ne bagaawat kar di....

Jab bhi tanhaai ne unko sataaya hoga,
tab tab unko hamara khayaal aaya hoga.
Gham ye nahi,ki wo bhool gaye humko,
gham ye hai ki,ro ro kar bhulaaya hoga....

Jaante hain ki bewafa hai w,
phir bhi dil ke haatho roz fareb khaate hain.
Roz kehte hain ki bhool jaenge unhe,
roz isi baat ko bhool jaate hain....

Jab koi khayal dilse takarata hai
dil na chahkarbhi khamosh reh jata hai,
koi sab kuch kehkar pyar jatata hai
toh koi kuch nakehkar bhi pyar nibhata hai.
Jab se tumhe jana hai,jab se tumhe paaya hai
,har dua mein tera naam aaya hai,
taaki poochhu rab se ki yeh kaisa namoona banaya hai

No comments: