Wednesday, May 28, 2008

Bhool jane ka hounsla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,
unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua.

barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
fir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me.

Bahuth Roya tha main jab mera janam huwa aur hass rahi thi yeh duniya.
Badla lunga ek din maut k samay.
Hasta hua jaunga aur royegi duniya....

Betayee hue kal main aaj ko dhundta hoon
Sapno mein sirf aapko dekhta hoon
Kyon ho gaye aap mujhse dur yeh socha hoon
Tanha, yaaron se chipkar roota hoon.

Betab Tamnnaon Ke Kasak Rahene Do,
Manzil Ko Pane Ki Lalak Rahene Do,
Aap Bhale Raho Nazron Se Door,
Par Meri Band Aankhon Me Appki Ek Jhalak Rahne Do

Bhula kar hamein wo kya khush reh paenge?
saath mein nahi to hamare jaane ke baad muskuraenge...
dua hai Khuda se ki unhe kabhi dard na de,
hum to seh gae,par wo toh toot jaenge........

Bookk Khulte hai Exam ka Sama hota hai.........
Aise Mausam Mein hi Toh Dimak Kharab hota hai.....
Dimag ki Baatien Paper pe nahi aatii.,
Yeh fasana Toh MaRK SheeT Pe BaYa HoTA HaI......... .

Chand lamhon ki zindagani hai,
nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi,
dost to aab yaad kiya nahi karte

Chand ke liye sitare anek han,
lekin sitaron ke liye chand ek hai.
Aapke liye to hazaron honge,
lekin hamare liye aap hi ek hain

Chandi raat me barsat buri lagti hai,
ghar me ho lash to Barat buri lagti hai,
Khushi me mere dost kuch bhi kah dal,
gam me to har bat buri lagti hai.

chand taro ka nur aap per barse ;
har koi aap ke chahat ko tarse ;
aap ke jindagi main aaye iteni khushiya
ki aap ek gum pane ko tarse .

duriyon ki na parwah kiya kijiye,
dil jab bhi pukare bula lijiye,
hum door jyaada nahi aapse,
bas apni aankhon ko palko se mila lijiye.

Dost hain to aansuon ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to mehfil bhi shamshaan hoti hai....
Sara khel to dosti ka hai,
Warna arthi aur baarat ek saman hoti hai....

Deepak me agar noor na hota,
tanha dil majboor na hota,
hum aapse goodmrng kehne zaroor aate agar apka ghar itni dur na hota.

Dil ki hasrat zubaan par aane lagi
Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi
Ye deewangi thi ya meri nazar ka dhokha
Har cheez mein surat teri nazar aane lagi

No comments: