MARANE par hame SWARG mile ya
na mile, ye HAWA ye FIZA mile ya na mile
aye mere dost SMS karne me KASAR na karna.
Kya pata NARAK me COVERAGE mile na mile.
Movie titles related to engg students:
exams - socha na tha,
classes - kabhi kabhi,
question papers - na tum jano na hum,
copying - yaarana,
maths2 - asambhav,
maths1 - mission impossible,
environmental sciences - pyar mein kabhi kabhi,
1st semester - kuch to hai,
2nd semester - yeh kya ho raha hai,
distinction - kal ho na ho,
1st class - raju bangaya gentleman,
2nd class - dil mange more
fail - phir milenge
Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehata hai,
har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,
wo pal jo yaar ki baho me guzarta hai,
maut tak vo nazara yaad rehta hai
Mere alfazon ko juth mat samajna,
yaad aati hai bahut jaldi milne ki dua karna,
ji raha tha tumhare naam par mar jau toh bewafa mat samajna
Mana ye waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kami ka bhi ehsas karliya karo
Mohabbat me sath to harpal hota he,
koi dikhne se hota he to koi dilse hota hai,
maza to sath tab aye yaro,
jab judai ka lamha mahsus hota hai
Najre Jhuki to Paimane bane,
Dil tute to Maikhane bane,
Kuch to jaroor khas hai aap mein..
Hum yoon hi nahi aapke Diwane Bane...
Nazar tumhari, Nazar hamari,
Nazar ne dil ki nazar utari,
Nazar ne dekha nazar ko aise,
ki nazar dosti ko lage na hamari.
Narajagi ka matlab Inkar nahi hota, Har muskurahat ka matlab Ikrar nahi hota, Jindagi me najre u bhi mil jati he, Har najar ka matlab pyar nahi hota..
Namashkar, yeh hamari faltoo SMS seva hai, is mein hum logon ko waqt-bewaqt tang karte hain. Is seva ka labh uthane ke liye shukriya, ab aap apna kaam kariye.
Nafratse Mohabbat Me Judai Hoti Hai...
Pyar To Humesha Bewafaee Hoti Hai......
Humare Taraf Haath Badhakar To Dekho....
Dosti Me Kitnee Sacchai Hoti Hai.......:
Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.
Nazar aandaz kaise kare aapko,
Nazaron mein bithaya hain aapko,
yaad aane par roye bhi toh kaise,
darte hain jhuki joh palke toh chubhengi aapko…
nabaz meri dekhkar mujhko ishq ka bimar likh diya,
main kyu na jaun qurbaan us hakim ke,
jisne ilaaz me us ka deedar likh diya
Na chaho kisi ko itna ki chahat aapki majburi ban jaye,
chaho kisi ko itna aapka pyaar uske liye jaruri ban jaye.
Nighahe nighago se milakar to dekho,
naye logo se rishta banakar to dekho,
hasrate dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hilakar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen failakar to dekho
Nazroo se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham haste hai,
isi ka naam to pyaar hota hai
Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana leite hai
Saturday, June 7, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment