Hamari to dua hai koi gila nahi ,
who gulab jo aaj tak khila nahi..
Zindagi me aapko woh sab kuch mile,
jo duniya mein aaj tak kisi ko mila nahi…
Har aahat ehsaas humara dilayegi,
Har hawa kissa humara dohraegi,
Itna pyar bhar denge aapke dil me,
Na chahte hue bhi yaad humari aayegi!
Hum hum hai, tum tum ho.
Na hum kam hai, Na tum kam ho.
To kis baat ka gam hai?Sms bhejte rehna
.Tabhi pata chalegaMobile wale me dum hai.
Hum wo nahi jo tujhe gham mein chhod denge,
Hum wo nahi jo tujhse naata tod denge...
Hum to tere wo Dost hain,Jo agar teri saasein band ho,
to apni saasein jod denge.....
Har koi pyar k liye tadapta hai....
Har koi pyar k liye rota hai....
Ae dost ye dosti sada kayam rakhna...
Kyunki sabse jyada pyar iss dosti mei he hota hai...
Har rishtonke mukaam nahin hote...
Dil ke rishtonke koi naam nahin hote......
Paaya hai Aapko dil ki roshni se.........
Aap jaise dost kisike liye Aam nahin hote.........
Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankhose chalakte hain
Har ek se achi baat karna FITRAT hai hamari,
har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari,
koi hum ko yaad kare ya na kare,
har ek ko yaad karna aadat hai hamari
Hoth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
shayad nazron se vo baat ho jaye,
is ummid se karte hain intezar raat ka,
ke shayad sapne me mulakat ho jaye.
Har khushi dil ke karib nahi hoti,
zindagi gamo se dur nahi hoti,
ae dost is dosti ko sanjokar rakhna,
aisi dosti har kisi ko nasib nahi hoti.
Hum mitti ka aashiyana banate gaye,
bana bana kar unhe mitate gaye,
hume koi na apna bana saka,
hum har kisi ko apna banate gaye.
Har pal muskurana zindagi hai,
muskurakar gam bhulana zindagi hai,
jeet kar muskurana bhi kya muskurana hai,
haar kar muskurana zindagi hai.
Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak.
Hum agar aapse mil nahi pate aisa nahin ke hameinaap yaad nahi aate,
mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate,
par jo bas jate hai dil me phir bhulae nahi jate .
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.
Tuesday, June 3, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment